People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 5 *

Mera Kar Do Re Amar
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mahasati-Savitri/Mera-Kar-Do-Amar-Suhaag/PhAacBx9AEQ
Video:
mera kar do re amar suhag war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja
he meri chudiya amar karo bindiya amar karo
chudiya amar karo bindiya amar karo
bhaag me lage na aag war do wat raja
war do wat raja ho mera kar do amar suhag
war do wat raja

mujhpe rakhiyo mamta maya aayi sharan tumhari
aayi sharan tumhari ek suhagan pal pal chin chin
rahe piya ki pyari rahe piya ki pyari
mere vrat ko safal karo path ujjwal karo
vrat ko safal karo path ujjwal karo
sewa me lage na daag war do wat raja
war do wat raja ho mera kar do re amar suhag
war do wat raja

dhan vaibhaw ko dhul samjh ke mai pritam ghar aayi
mai pritam ghar aayi raaj paath ke thath ko chhod ke
pati bhakti apnai pati bhakti apnai
he meri pat ko rakhna sat ko rakhna
pat ko rakhna sat ko rakhna badhta rahe anurag
war do wat raja war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja

ye kusum lo lo ye kumkum shubh din hai bhakti ka
shubh din hai bhakti ka mere pati ki raksha kario
ye hai wachan ek sati ka ye hai wachan ek sati ka
he kuch aisa karo mere purwa janam ke
aisa karo mere purwa janam ke
sab punya jaye jag war do wat raja war do wat raja
ho mera kar do re amar suhag war do wat raja

mera kar do re amar suhag war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja
meri chudiya amar karo bindiya amar karo
chudiya amar karo bindiya amar karo
bhag me lage na aag war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja
mera kar do re amar suhag war do wat raja

Chupke Chupke Chupchup
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mahasati-Savitri/Chupke-Chupke-Chupchap/Ej4mZTZ4RVc
Video:
chupke chupke chupke chupke
chup chap chup chap char aankho me
achanak batchit ho gayi
kuch tum badhe kuch hum badhe
kuch tum badhe kuch hum badhe
dono me preet ho gayi
chupke chupke chupke chupke

aaj to hum dharti ki dhup se
aaj to hum dharti ki dhup se
pyar ki chaw me aaye
prem ki payal pehen paw me
prem ki payal pehen paw me piya ke gaw me aaye
ek mahal ki sundar maina
ek mahal ki sundar maina
dekho jungle ka geet ho gayi
kuch tum badhe kuch hum badhe
kuch tum badhe kuch hum badhe
dono me preet ho gayi
chupke chupke chupke chupke

kitna hai madhur ye milan ek sath bandhe do man
kitna hai madhur ye milan ek sath bandhe do man
kehne ko to alag alag hum par dono ki ek dhadkan
kehne ko to alag alag hum par dono ki ek dhadkan
ek choti si pehchan ek choti si pehchan
jindagi bhar ki jeet ho gayi
kuch tum badhe kuch hum badhe
kuch tum badhe kuch hum badhe dono me preet ho gayi
chupke chupke chupke chupke
chupke chupke chupke chupke
chupke chupke chupke chupke
chupke chupke chupke chupke
Ek Ganga Kahi Se
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mahasati-Savitri/Ek-Ganga-Kahin-Se-Aai/Q0U4QSBYGnQ
Video:
ek ganga kahi se aayi ek jamuna kahi se aayi
jagat ke path pe chalte chalte sangam ban gayi
ek preet ke punit paryag me aake
tirth anupam ban gayi ek ganga kahi se aayi
ek jamuna kahi se aayi jagat ke path pe
chalte chalte sangam ban gayi

aarya desh ki ek beti ne apne dharam ko nibhaya
aarya desh ki ek beti ne apne dharam ko nibhaya
ek janam me koti janam ka punay sati ne kamaya
sankat jo pade sabhi haske sahe
kabhi kisi ko wachan kadwe na kahe
jab do aankho me aamawas thi
ek dulhan poonam ban gayi ek ganga kahi se aayi
ek jamuna kahi se aayi jagat ke path pe
chalte chalte sangam ban gayi

sati ko kuch na pata tha ke usne kya khoya kya paya
sati ko kuch na pata tha ke usne kya khoya kya paya
anjane hi ganga ka man sagar par lalchaya
jab bhagya ne ek palta khaya or tyag ka jab awsar aaya
ek rajmahal ki chanchalta pal bhar me sanyam ban gayi
ek ganga kahi se aayi ek jamuna kahi se aayi
jagat ke path pe chalte chalte sangam ban gayi
sangam ban gayi sangam ban gayi sangam ban gayi
Hansa Rana Na Jao
Singer: Asha Bhosle
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mahasati-Savitri/Hansa-Rana-Na-Jao-Chhor-Ke/BTscUBB-cEQ
Video:
hansa rana na jao na jao chhod ke akeli
mujhko na jao chhod ke akeli hansa rana
jagat ki aankho me na banao mujhko piya paheli
na jao na jao chhod ke akeli hansa rana

mat jao he pritam mere pinjra suna karke
pinjra suna karke parwat jaisa bojha mere
jiwan upar dhar ke jiwan upar dhar ke
mai to tumhare sang me saajna
mai to tumhare sang me saajna do din bhi na kheli
na jao na jao chhod ke akeli hansa rana

lambe safar par jana hai to mujhe bhi sang le jaao
mujhe bhi sang le jao piya na chhodo bich bhawar me
mujhe bhi paar lagao mujhe bhi paar lagao
na jao na jao chhod ke akeli hansa rana
na jao na jao chhod ke akeli mujhko
na jao na jao chhod ke akelihansa rana
Meri Duniya Badal Gayi
Singer: Asha Bhosle
Music: Avinash Vyas
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mahasati-Savitri/Meri-Duniya-Badal-Gai-Aaj-Re/Jw46dS5TeFs
Video:
mehlo ki kothri saja ke putli me palang bichau
fir palko ka dalke parda apne piya ko rijhau
meri dunia badal gayi aaj re ho meri dunia
ho meri dunia badal gayi aaj re aaj re aaj re
maine pehna hai ho maine pehna hai
phulo ka taj re ho meri dunia badal gayi aaj re

ang ang mera karta hai nartan
rom rom mera karta hai kirtan
ang ang mera karta hai nartan
rom rom mera karta hai kirtan
mera to sapna sach ho gaya re
jiwan me mere hua pariwartan mere hari ne
ho mere hari ne rakhi meri laaj re laaj re laaj re
maine pehna hai ho maine pehna hai phulo ka taaj re
ho meri dunia badal gayi aaj re

nach ari ho piya ki pujarin ghadi hai ye raswanti
kabhi kabhi to baat baat me baat yaha hai banti
mere antar man me hai damki mere piya ki jyoti
maine paya hai ho maine paya hai
tirbhuwan ka raaj re raaj re raaj re
maine pehna hai ho maine pehna hai phulo ka taaj re
meri dunia ho meri dunia badal gayi aaj re aaj re aaj re
maine pehna hai ho maine pehna hai phulo ka taaj re